donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
KHUSHI
Bahut kaseef gham-e-rozgaar hai, warna
labon ke lams mein rakkha hai sar khushi ka namak
Author : Kalim Akhtar

Khushi na phal hai shajar ka, na abr kee baarish,
Kisi ko khush karo tum ko khushi hazaar miley.
Author : Manzar Hussain Akber

Nikal aate hai'n aa'nsoo ha'nste-ha'nste,
Ye kis ghum-ki kasak hai har khushi mei'n.
Author : Nida Fazli

Gaahe aati hai khushi mauj-e-saba ki soorat,
Aur rah jaati hai sadiyo'n kabhi lamhaat ki chot.
Author : Manazir Ashiq Harganwi

Khushi-ke naam per tamaam umr yu'n guzar gayee,
Naye-naye ghamo-ke intekhaab mei'n  magan rahe.
Author : Shahid Jameel

"Hai nehayat dilnasheeN "IMROZ_E_HIND"
AafreeN sad aafreeN "IMROZ-E HIND

 Is ke rashhaat e qalam haiN dilpazeer
Hai muraqqa ek haseeN "IMROZ-E-HIND""
Author : Ahmad Ali

"Hai nehayat dilnasheeN "IMROZ_E_HIND"
AafreeN sad aafreeN "IMROZ-E HIND

 Is ke rashhaat e qalam haiN dilpazeer
Hai muraqqa ek haseeN "IMROZ-E-HIND""
Author : Ahmad Ali

Mein ne is tor se chaha tujhe aksar jana
Jeise mahtab ko be unt samandar chahe
Jeise sooraj ki kiran seep k dil mein utre
Jeise khushboo ko hawa rang se hat kar chahe
Jeise pathar k kaleje se kiran phoot ti hai
Jeise gunche khile mausam se hina mangte hain
Jeise khwabon mein khayalon ki kaman toot ti hai
Jeise baarish ki dua aabla paa mangte hain
Mera har khwab mere sach ki gawahi de ga
Wusat-e-deed ne tujh se teri khwahish ki hai
Meri sochon mein kabhi dekh sarapa apna
Mein ne dunya 
Author : Shani Ahmad

Kabhii Aanso Kabhi Khushi Bechi,
Ham Garibo'n Ne Bekasi Bechi,
Chand Sanse Kharidane Ke Liye,
Roz Thori Si Zindagi Bechi,
Jab Rulane Lage Mujhe Saye,
Mai'n Ne Ukta Ke Raushani Bechi.
Author : Abu Talib

Na Jane Aj Ye Kis Ka Khayal Aya Hai,
Khushi Ka Rang Liye Har Malal Aya Hai,
  Vo Ek Shakhs Ki Hasil Na Tha Jo Khud Ko Bhi,
Mita Kisi Pe To Kaisa Bahal Aya Hai.
Author : Ahmad Hamdani

Har shab shab-baraat hai, har roz roz-e-Eid, 
Sota hoo’n haath gardan-e-meena mei’n daal kar
Author : Unknown

Ya tau deewaana hanse, ya jis ko tu taufeeq de, 
Warna is duniya mei’n kya hai muskarane ke lieye
Author : Unknown

Kabhi dekha tha itna Dagh ko khush, 
Chale aate ham yeh hazrat wahi’n se.
Author : Dagh

Zikar-e-naal chher kar, aur ghazab kiya nadeem,
Saait-e-aish thi hi kya, aur qaleel ho gai.
Author : Ali Akhtar Akhtar

Ik parda hai ghamo’n ka jise kahte hai’n khushi, 
Hum tabassum mei’n nihaa’n ashk.e-rawa’n dekhe hai’n.
Author : Akhter Sheerani

Tujhe maaloom hai taareekiaa_n barhti hai_n jab hadd Se,

Ubalne lagti hai zarraat-e-khaki se darakhshaani.

Author : Josh

Falak deta hai jin ko aish, unko ghum bhi hote hai’n,
Jaha’n bajte hai’n naqqare, waha’n maatam bhi hote hai’n.
Author : Dagh

Inhi_n ghum ki ghataao_n se khushi ka chaand chamkega,

Andheri raat ke pardo_n mei_n din ki roshni bhi hai.

Author : Akhter Sheerani

Kya sabab shad hai bashaash hai ji aap hi aap,
Chali aati hai mujhe aaj hansi aap hi aap.
Author : Dagh

Guzaari theei’n khushi ki chand gharia’n,
Unhi’n ki yaad apni zindagi hai.
Author : Andaleeb Shadani

Tajassus ho tau mil jata hai sub kuchh daar-e-imkaa’n mei’n,
Koi lamha khushi ka aao dhoonde’n umr-e-insaa’n mei’n.
Author : Mani Jaisi

 
Total Visit on KHUSHI : 1122