Qareeb Maut Khari Hai Zaraa Thahar Jao
Qazaa Se Aankh Lari Hai Zaraa Thahar Jao
Thaki Thaki Si Fazaayen Bujhe Bujhe Taare
Bari Udaas Ghari Hai Zaraa Thahar Jao
Nahin Ummeed Ki Ham Aaj Ki Sahar Dekhen
Ye Raat Ham Pe Kari Hai Zaraa Thahar Jao
Abhi Na Jao Ke Taaron Kaa Dil Dharaktaa Hai
Tamaam Raat Pari Hai Zaraa Thahar Jao
Phir Is Ke Baad Kabhi Ham Na Tum Ko Rokenge
Labon Pe Saans Ari Hai Zaraa Thahar Jao
Dam-E-Firaaq Mein Ji Bhar Ke Tum Ko Dekh To Luun
Ye Faisale Kii Gha |
Author : Shani Ahmad |
|
Maut ki zad se gar bach gaya koi,
Usko umr-e-daraaz ne maara.
|
Author : Josh Malsiani |
|
Maut ka ek din muyyan hai,
Neend kyo’n raat bhar nah’in aati.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Ai maut, bashar ki zindagi aaj,
Tera ahsaan ho gai hai.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Nahi’n begaangi achhi rafeeq-e-rah-e-manzil se,
Thahar ja ai sharar, hum bhi tau aakhir mitne waale hain.
|
Author : Allama Iqbal |
|
Ghalib-e-khasta ke baghair kaun se kaam band ha’in,
Roeye zaar zaar kya, kijiye haae, haae ky’on
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Sun ke meri marg bole mar gaya, achha hua,
Kya bura lagta tha jis dam saamne aa jaaey tha.
|
Author : Momin |
|
Aati hai ki starah se meri qabz-e-rooh ko,
Dekhoo’n tau maut dhoond rahi hai bahaana kya
|
Author : Aatish |
|
Abhi lene paae nahi’n dam jaha’n mei’n,
Ajal ka taqaaza hua chaahta hai.
|
Author : Hali |
|
Zindagi bhi tau pashemaa’n hai yahaa’n la ke mujhe,
Dhoondati hai koi heela mere mar jaane ka.
|
Author : Fani |
|
Har shakhs adam se tan-e-uriaan le kar,
Shahr-e-hasti mei’n kharidaar-e-kafan aata hai.
|
Author : Unknown |
|
Aalam kya hai azal se aabad tak,
Fana baqa ki aa’nkh micholi.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Tha zindagi mei’n maut ka khatka laga hua,
Urne se peshtar bhi mera rang zard tha.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Rah-e-marg se kyo’n daraate hai’n log,
Bahut us taraf ko tau jaate hai’n log!
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Umr bhar dekha kieye marne ki raah,
Mar gaye par dekhiye dikhlaae’n kya?
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Ab tau ghabra ke yeh kahte hai’n ke mar jaae’nge,
Mar ke bhi chain na paya tau kidhar jaaenge?
|
Author : zauq |
|
Munhasar marne pe ho jiski umeed,
Na umeedi uski dekha chaahieye.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Marte hai’n Mir sab, pe na is be kasi ke saath,
Maatam pe tere koi na roya pukaar kar
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Marg ik maa’ndgi ka waqfa hai,
Yaani aage chale’nge dam lekar
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Maut ka nuskha abhi baqi hai, ai, dard-e-firaq,
Chara-gar deewaana hai, mai’n la-dawa kyo’nkar hua.
|
Author : Allama Iqbal |
|
Marte hai’n aarzoo me’in marne ki,
Maut aati hai par nahi’n aati.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Marne waale marte hai’n, lekin fana hote nahi’n,
Yeh haqiqat mei’n kabhi hum se juda hote nahi’n.
|
Author : Allama Iqbal |
|
Kamar baandhe hue chalne ko yaa’n sab yaar baithe hai’n,
Bahut aage gaye, baqi jo hai’n tayyaar baithe hai’n.
|
Author : Insha |
|
Duniya miri bala jaane mah’ngi hai ya sasti hai,
Maut mile tau muft na loo’n, hasti ki kya hasti hai
|
Author : Fani |
|
Dekh yeh jaada-e-hasti hai, sambhal kar, Fani,
Peechhe, peechhe woh dabe paao’n qaza bhi aai.
|
Author : Fani |
|
Fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana,
Ajal kya hai khumaar-e-baada-e-hasti utar jaana.
|
Author : Chakbast |
|
Aap socha hi kieye us ko miloo’n ya na miloo’n,
Maut mushtaq ko mitti mei’n mila bhi aai.
|
Author : Fani |
|
Maut ka kuchh ilaaj ho shaaid,
Zindagi ka koi ilaaj nahi’n.
|
Author : Firaq Gorakhpuri |
|
Hue mar ke hum jo ruswa,hue kyo’n na gharq-e-darya
Na kabhi janaaza uth-ta, na kahi’n mazaar hota.
|
Author : Mirza Ghalib |
|
Is mauj-khez bahar mei’n hum ko qaza ne, aah!
Paani ke bulbale ki tarah se mita diya.
|
Author : Mir Taqi Mir |
|
Maut se kisko rustgaari hai,
Aaj unki, kal hamaari baari hai.
|
Author : zauq |
|
Hoti hai tan mei’n rooh payaam-e-ajal se shaad,
Din waada-e-wisaal ke nazdeek aa chuke.
|
Author : Aatish |
|
Marne waalo’n ki jabee’n roshan hai is zulmaat mei’n,
Jis tarah taare chamakte hai’n andheri raat mei’n.
|
Author : Allama Iqbal |
|