donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
afsane
 
Urdu Couplets/Qataat/Rubayee on
UMR
	Aap se dil lagake dekh liya
	umr bhar roke, gaake dekh liya
Author : Kalim Akhtar

Umr bhar key liye tumharey paas,
reh gaiey hai shaguftagi meri,
Aakhri raat ke udaas diyoo,
yaad hai tum ko bebasi meri.
Author : Mustafa Zaidi(Tegh Allahabadi)

Umr bhar umr-e-gureza'n se na meri ban saki,
Jo kare karti rahe mai'n puchta kuch bhi nahi,
Wo bhi shayad ro pare vira'n kaghaz dekh kar'
Mai'n ne us ko akhri khat mai likha kuch bhi nahi.
Author : Zahoor Nazar

Rau mei’n hai rakhsh-e-umr kahaa’n dekhieye thamey,
Na haath baag par hai, na pa hai rakaah me’n.
Author : Mirza Ghalib

Arey, 0 shikwa-sanj-e-umr-e-fani,
Yeh fani zindagi bhi kam nahi’n hai.
Author : Jigar

Umr saari tau kati ishq-e-butaa’n mei’n, Momin, 
Aakhiri waqt mei’n kya khaak musalmaa’n honge
Author : Momin

Subah hoti hai, shaam hoti hai,
Um yoo’n hi tamaam hoti hai.
Author : Unknown

Ik umr kat gai tere intezaar mei’n,
Aise bhi hai’n ke kat na saki jin se ek raat.
Author : Firaq Gorakhpuri

Kuchh kati himmat-e-sawaal mei’n umr,
Kuchh umeed-e-jawaab mei’n guzri.
Author : Fani

Kya gila suyyaad se hum ko yoo’nhi guzri hai umr, 
Ab aseer-e-daam hai’n, jab the gariftaar-e-chaman.
Author : Sauda

Afsos ke hum tau rahe mast -e-khwab-e-subah,
Aur aaftaab-e-umr lab-e-baam aa gaya.
Author : Mushafi

Saath apne le ke tausan-e-umr-e-rawaa’n ko, aah,
Hun is saraa-e-dahar inein kya aaey, kya chale.
Author : zauq

Tum salaarnat raho qayamat tak,
Aur qayamat, Khuda kare, kabhi na ho!
Author : Unknown

Uske eefaa-e-ahd tak na jieye,
Umr ne hum se be-wafaai ki.
Author : Mir Taqi Mir

Umr bhar ka tu ne paimaan-e-wafa baandha tau kya,
Umr ko bhi tau nahi’n hai paaedaari, haaey, haaey!
Author : Mirza Ghalib

 
Total Visit on UMR : 1204