Daga-e Mohabbat
Yu to har lamho ko sanwara tha is kadar
Kamyab zindagi ko magmoom kar gaya koi
Usne ijhare mohabbat kiya hi kyu tha
Is alam me mujhe posidah kar gaya koi
Tumne to use chand se umdah samjha hamesha
Is chand si roshni ko bhi gamgin kar gaya koi
Tumne badi zafukash se bhula diya us manjar ko
sabik us chiragah me magloob kar gaya koi
Sabar rakhne walo ko manjil dikha de ya rab
sare jahan me ye dua kar gaya koi
|