Ghazal
khush raho tum sada khuda hafiz
us ne phir se kaha khuda hafiz
tum mere baad bhi mere rehna
ye hai teri sazaa khuda hafiz
ashk ankhon mei rok lo apni
ho rahe hain juda, khuda hafiz
tum mera intezar karna jaan
aur na rehna khafa khuda hafiz
dekhta hi rahe ga kya mujh ko?
ab gale bhi laga khuda hafiz
chorr bhi de shikayaten shikwe
zakhm kya kya mila khuda hafiz
ab dobara na rokna mujh ko
chalti hoon main Sada khuda hafiz
|