donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Suno Laut kar ab kabhi tum mat aana *

Suno
Laut kar ab kabhi tum mat aana



Mere dil ki mitti ko
Napaak apne kissi naqsh.e paa se na karna
Ye mitti jisse apne ashkon se sairaab main ne kiya hai
Ab us pe
Tumhaari jafa ke kissi zard mausam ka saaya nahi hai
Tumhe ab mere dil ke khaali shabistaan main khilte
Mohobbat ke khushrang phoolon se nisbat kahaan hai
Mere dil ki waadi
Ke jis main wafa ke parinde
Sar.e Shaam pedon pe apni duaon ke par kholte hai
Faza main mohobbat ke sur gholte hai
Mohobbat
Ke jiski muqaddas mahak main
Tumhaare kissi khwaab ka zaiqa tak nahi hai
Suno tum ussi shahar ko apna maskan bana lo
Jahaan chahaton aur jazbon se likhi hui har kahaani faqat
Jism ki bhook se munsalik hai
Jahaan khwahishon ke mahlaat main basne waale
Faqat apne taskeen ke muntazir hai

Suno
Laut kar na aana...!!!


"aarzoo mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 379