donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* jo dard chuupa rakhkha tha duniya ki nazar se *

jo dard chuupa rakhkha tha duniya ki nazar se
ab hone laga sub pe a'yaaN deeda-e tar se

deevaanoN ko kub mauj-e Gam-e dil ka koyee Khauf
toofaan chala aaye idhar se ya udhar se

Gair aaj bhi izzat se hameN dekh rahe haiN
apnoN ne giraya hai hameN apni nazar se

woh paaoN ke chaale hoN keh hon raah ke kanTe
sub haar ke baiThe haiN mere Azm.e safar se

ik tu hi nahiN raah raw-e raah-e gham-e ishq
"Guzre haiN tire baad bhi kuch log idhar se"

ai baad.e saba itna mire dost se kah de
aaNkhoN ko bichaaye hai koyee pichle pahar se

maiN apni hi mayyat pe khaRee soch rahee hooN
ai kaash nikalta yeh janaza tire ghar se

ai "Aarzoo" kis taraH guzare haiN shub.o.roz
pooche koyee aaker miree deevaron se, dar se


"AarzooMehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 366