donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ne dee awaaz de unko mubaarakbaad tou *

Dil ne dee awaaz de unko mubaarakbaad tou
Aa gaya woh din ke jab paida huuwe theeN “Aarzoo”

Ba musamma’ ism yaanee ik sarapa Aaarzoo
Lub tou haiN Khaamosh lekin dil mujassam justajoo

Beniyaaz.e fikr.e dauraaN apne sheroN meN magan
Aarzoo ki zindagee ka maaHsal funn-e suKhan

Khangee Halaat se bhi baKhabar haiN “Aarzoo”
Apne bachchoN ke liye miSl-e pidar haiN “Aarzoo”

KyuuN na haSil ho usey har din duaa-e walidain
Walidah-Walid ki har Khidmat karey jab noor-e ain

DostoN se itni ulfat dostoN se itna pyaar
Ab woh Nira ho ke Meera jaano.o.dil sub pe niSaar

“Aarzoo” har bazm ki raunaq hain uski shaan haiN
"Face book" kya cheez hai har anjuman ki jaan haiN

Shairee unki hai unke dard-e dil ki tarjumaaN
Apne dil ki baat ker deti haiN sheroN meN bayaN

Shikvaa-e maHboob bhi hai shikvaa-e Haalat bhi
BekasoN ka zirk bhi hai mufilsoN ki baat bhi

Inki NazmoN meN nihaN hai fikr bhi jiddat ke saath
Pyar milta hai sabhi ka naam aur shohrat ke saath

“Aarzoo” ki har Ghazal aayeenaa-e jazbaat hai
Zikr-e karb-e dard-e dil hai aaNsuoN ki baat hai

Hai dua meri Khudaa-e Pak se woh shaad hoN
Roz.o.shub haNstee raheN har runj se aazaad hoN

Ya Ilahe woh masarrat se hamesha chor hooN
Har Museebat har alam aur har bala se door hoN


"Jawaid Iqbal Badauni"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 426