donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil meN tere hi Gham ka toofaaN hai *

Dil meN tere hi Gham ka toofaaN hai
Teri Hasrat hai tera armaaN hai
Bin tere zindagee biyaabaaN hai
Daaman-e taar taar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN

Roz sheshey ki Tarha TooTee hooN
Bunke reze zameeN pe bikhree hooN
phhoT kar tere gham meN royee hooN
ik dil-e beqaraar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


Aah-o naala ka ik samander hai
Rooh zaKhmee hai dil bhi muztar hai
Ik ajab aag dil ke ander hai
Dekh lo Haal-e zaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


kab talak ro’ooN kab talak taRpoN?
kab talak TooT-TooT kar bikhrooN?
Kab talak raah-e dard se guzrooN?
Apne gham ki guhaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


ai Khuda “Aarzoo” ko Hairat hai
ishq teri hi ek n’emat hai
phir bhi bus Gham hi iskee qismat hai
Main dil-e daaGhdaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352