donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aarzoo Mehek
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kiye hai.N jispe dil.o.jaa.N niSaar tou hi hai *

Kiye hai.N jispe dil.o.jaa.N niSaar tou hi hai
Elaj.e dard.e dil.e beqaraar tou hi hai

Chaman ka rung guloN ka nikhar tou hi hai
Mire liye tou mujassam bahar tou hi hai

Chupa hai qatraa.e aaNsu meN tera wada.e ishq
Kiya tha jis pe kabhi e’tbaar tou hi hai

Woh chund Khuwaab jo din meN bhi maiN ne dekhe the
To aise KhuwaaboN ki t’abeer yaar tou hi hai

Tamam duniya ko choRa hai sirf tere liye
kiya hai jis se sada maiN ne pyaar tou hi hai


Yeh dil ke jis ne kisee ko kabhi pukara nahiN
Pukarta hai jise baar baar tou hi hai


BhaNwar meN gham ki maiN kashtee ko apni ley aayee
Mujhe khabar thee keh darya ke paar tou hi hai


Basa liya hai tujhe apne dil meN chupke se
Ke raaz.e ishq ka ik raazdaar tou hi hai


Mahak rahee hai faza “Aarzoo” ke sheroN se
Aur is mahak meN basa mere yaar tou hi hai


"Aarzoo Mehek"

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434