donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aasim Shahnwaz Shibli
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo baat achchi nahi lagti asoolan *

Jo baat achchi nahi lagti asoolan,
use ham chhorh dete hai'n Yaqeenan,

nikalo doodh ki nahrei'n yaqeenan,
magar miltee hai sheree'n ittefaqan,

zabaa'n loknat zada bad niyato'n kii,
ham apnii baat kah dete hai'n fauran,

dilo'n ke beech ek deewaar sii hai,
mile'n bhii ham to ab milte hai'n rasman,

badan uska hai khushboo chand naghma,
tabhii to ham jhuke hai ehtaraman.

yeh mat samjho ye rassi door hai mujh se
kabhii ham dheel de dete hai'n qasdan

yehi ab sher ka miya'ar thahra
raviyya khurdura thaa ehtejaajan

rafeeqo'n se tumhe milna hai 'Aasim'
neyamo tegh rakh lo ehteytan

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376