Manta hoo.n dushmani ka hai zamana hai to hai
Dosto.n se dosti phir bhi nibhana hai to hai
Hai sada ka peyaas se rishta mera to keya kare.n
Paas apne tashnagi hi ka khazana hai to hai
Chaand khushboo aur naghma ho.n mobarak aapko
Ik purana hi badan apna thikana hai to hai
Khawab to dekha hi karti hai.n meri aa.nkhe.n sada
Khawab ko gar thapkiyo.n hi se sulaana hai to hai
Shahar ka manzar to sada rahta hai dilkash nahi.n
Ham ne mana yeh magar dil ka lubhana hai to hai
Yeh shikam aalood bistar aur Aasim zindagi
Keya kare.n ab yaad hi me.n shab bitaana hai to hai
89/5, Ripan Street, Kolkata-700016