donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Ahad Saz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khud ko kyuu.N jism kaa zindaani kare.N, *

Khud ko kyuu.N jism kaa zindaani kare.N,

fikr ko taKht-e-Sulemaanii kare.N,

der tak baiTh ke soche.N Khud ko,

aaj phir ghar me.N biyaabanii kare.N,

apne kamre me.N sajaaye.N aafaaq,

jalsa-e-be-sar-o-saamanii kare.N,

umar bhar sher kahe.N khuu.N thuuke.N,

muntaKhib raasta-e-nuqsanii kare.N,

Khud ke liye mol le.N izhaar ka qarz,

duusro.N ke liye aasanii kare.N,

sher ke lab pe Khamoshi likhe.N,

harf-e-naa-guftaa ko laa-saanii kare.N,

kiimiya karii hai fan apnaa "Saaz",

aag ko baiThe hue paani kare.N.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403