Hum mangte jahez hai.n khairat ki tarah
Toli bana k jate hai.n barat ki tarah
Larki jawa.n hote hi ab unke waldai.n
Ghar mai.n hi rah rahe.N hai.n hawalat ki tarah
Muddat se mera name hai unki zuba.n per
Milte.N hai ab bhi pahli mulakat ki tarah
Mali ka yeh karam hai k her sal bagh mai.n
katl O fasad dete.N hai.n saughat ki tarah
Hum ko ukharte.N hai.n k halki ho ye zami.N
Hum ugh rahe.N hai.n jaise nabatat ki tarah
Basit nezam E naw mai yeh kaisi hai tirgi
Raoushan tha shaher ab kharabat ki tarh
***