Hamare shahr me.n rahta hai ajnabi ki tarah
Jo khair kha hai sab ka kisi nabi ki tarah
Luta ke shahr se sabkuch wo jab watan aaya
Lipat k maa.N se wo rota raha sabi ki tarah
Wo bakamal tha likin tha wo ahl E zar !!!
Tabhi to wo fail hota raha Ghabi ki tarah
Lutata Shahr men kase wo apni hamdardi
Har ek shakhs ko lagta tha ajnabi ki tarah
Jafa k baad na rakhna humse ummid !!!
K mai bhi aadmi yaro hoon tum sabhi ki tarah
***