donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Hameed Adam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye, *

Jo log jaan buujh ke naadaan ban gaye,
meraa Khayaal hai ki vo insaan ban gaye,

ham hashr me.n gaye magar kuchh na puuchhiye,
vo jaan buujh kar vahaa.N anjaan ban gaye,

ha.Nsate hai.n ham ko dekh ke arbaab-e-aagahii,
ham aap kii mizaaj kii pahchaan ban gaye,


[arbaab-e-aagahii = intellectuals]

majhdhaar tak pahu.Nchnaa to himmat kii baat thii,
saahil ke aas paas hii tuufaan ban gaye,

insaaniyat kii baat to itnii hai shaiKh jii,
bad-qismatii se aap bhii insaan ban gaye,

kaa.NTe bahut they daaman-e-fitarat me.n ai Adam,
kuchh phuul aur kuchh mere armaan ban gaye.

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404