donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Hameed Adam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ha.Ns ke bolaa karo bulaayaa karo *

Ha.Ns ke bolaa karo bulaayaa karo,
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo ,

muskurahaT hai husn kaa zevar,
ruup ba.Dhataa hai muskuraayaa karo,

had se ba.D kar hasiin lagte ho,
jhuuThii qasme.n zaruur khaayaa karo ,

hukm karnaa bhii ek saKhaavat hai,
ham ko Khidamat koii bataayaa karo ,

baat karnaa bhii baadshaahat hai,
baat karnaa na bhuul jaayaa karo ,

taa ke duniya kii dil-kashii na ghaTe,
nit naye pairahan me.n aayaa karo,

kitne saadaa mizaaj ho tum Aadam,
us galii me.n bahut na jaayaa karo.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 436