donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Hameed Adam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aap agar ham ko mil gaye hote, *

Aap agar ham ko mil gaye hote,
baagh me.n phuul khil gaye hote,

aap ne yuu.N hii ghuur kar dekhaa,
ho.nTh to yuu.N bhii sil gaye hote,

kaash ham aap is tarah milte,
jaise do vaqt mil gaye hote,

ham ko ahal-e-Khirad mile hii nahii.n,
varnaa kuchh munfa-iil gaye hote,


[ahal-e-Khirad = intelligent; munfa-iil = ashamed]

us kii aankhe.n hii kaj-nazar thii.n Aadam,
dil ke parde to hil gaye hote.


[kaj-nazar = sly look]

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 413