Subuu ko daur me.n laao bahaar ke din hai.n,
hame.n sharaab pilaao bahaar ke din hai.n ,
ye kaam aaiin-e-ibaadat hai mausam-e-gul me.n,
hame.n gale se lagao bahaar ke din hai.n ,
Thahar Thahar ke na barso uma.Dh pa.Dho yek dam,
sitam_garii se ghaTaao bahaar ke din hai.n ,
shikastaa-e-taubaa kaa kab aisaa aayegaa mausam,
Adam ko gher ke laao bahaar ke din hai.n .