donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Hameed Adam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Saaghar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii, *

Saaghar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii,
sahan-e-chaman me.n aake bahut Khush hai zindagii,


[saaghar = wine-glass]

aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man,
tum ko qariib paake bahut Khush hai zindagii,

hotaa koii mahal bhii to kyaa puuchhte ho phir,
be-vajah muskuraa ke bahut Khush hai zindagii,


saahil pe bhii to itnii shagufataa ravish na thii,
tuufaa.N ke biich aake bahut Khush hai zindagii,


[saahil = shore; shagufataa = fresh]

viiraan dil hai aur Adam zindagii kaa raqs,
jangal me.n ghar banaake bahut Khush hai zindagii.


[raqs = dance]
 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410