Phuulo.n kii aarzuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n,
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n ,
us par haraam hai Gham-e-dauraa.N kii talKhiyaa.N
jiske nasiib me.n terii zulfo.n ke saaye hai.n ,
[haraam = forbidden, talKhiyaa.N = bitterness]
mahshar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii,
lekin ba.De Khuluus se ham lauT aaye hai.n ,
[mahshar = day of judgement]
aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii Adam,
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye hai.n.