donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aag say guzra hoo.n kundan ka irada lay kar, *

Aag say guzra hoo.n kundan ka irada lay kar,
Jaoo.n ga dasht mei.n sawan ka libada lay kar,

Khushbue.n qaid mei.n rakhna nahi aaya mujh ko,
Fasl-e-gul aao.n ga mai.n sehan kushada lay kar,

Mujh ko matlab teray deedar say hi, may say nahi,
Tum chalay aao faqat aankh ka badah lay kar,


Torh aaya hoo.n mai.n teray liye saaray rishtay,
Ghar say nikla hoo.n mai.n tanhaai ka jadah lay kar,

Chhorh jatay hai.n yahaa.n daagh hi dil per rishtay,
Paas aao.n teray kaisay dil-e-sada lay kar,

Na he khud pe ho yaqee.n aur na he Khuda per jis ko,
Kiya karay ga woh faqat khaali irada lay kar,

Maat to de hai zamanay nay Sikandar ko Ebad,
Aur tum baithay ho bas aik piyaadah lay kar.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361