donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sehra ko mujhey phoolo.n say bharnay ka janoon hai, *

Sehra ko mujhey phoolo.n say bharnay ka janoon hai,
Nafrat ko mohabbat mei.n badalnay ka janoon hai,

Zulmaat kay sagar mei.n koi chand hai baychain,
Ek roshni hai jis ko nikharnay ka janoon hai,

Gum sum hai kharha sonch mei.n sadiyo.n say yeh insaan,
Mai.n kaun hoo.n woh kiya hai samajhnay ka janoon hai,

Dildari-e-gham kis say karay koi jahaa.n mei.n,
Her shakhs ko to aag peh chalnay ka janoon hai,


Ek yaad hai jo paoo.n ke zanjeer bani hai,
Ek dil bhi hai jis ko keh tarhapnay ka janoon hai,

Hansta hoo.n kabhi khul kay to lagta hai badan kay,
Zindaa.n say ab mujh ko nikalnay ka janoon hai,

Dar jata hoo.n karta hai jo parvaaz takhaiyul,
Yeh kaisa mujhey waqt ko parhnay ka janoon hai,

Parhtay na samajhtay na he suntay hai.n yeh patthar,
Phir bhi mujhey deewaro.n peh likhnay ka janoon hai,

Soee.n nahi muddat say yeh jalti hui aankhei.n,
Woh kaun hai jis say inhei.n milnay ka janoon hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401