donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri Tanhai Yeh Sawaal Kar, *

Meri Tanhai Yeh Sawaal Kar,
Yeh meray ander kay zard pattay,


Bachasham-e-tar jo lipat kay daikhay hai.n Shaakh-e-gul ko,
Mujhey yaqeen hai kisi naveed-e-sehar ke chaapo.n kay muntazir hai.n,


Woh kaun hai jis kay dukh ko dil mei.n liye hue yeh,
Siyaah raato.n kay tanha gosho.n mei.n apnay dil ko jala jala kar,


Zameen pe taaray saja saja kay,
Kisi kay daman mei.n chandni ke haseen kirno.n kay muntazir hu.n,


Yeh kaun hai jo khizaa.n raseeda say mausamoo.n mei.n nawaazta hai,
Gae bahaaro.n ko bhaijta hai yeh kaun hai, jis ko mai.n nay soncha,


To gham kay badal bhi chutt gaye hai.n,
Meri duaye.n, hawaye.n ban kar siyaah badal hata rahi hai.n,


Yeh kaun hai, Jis ke muskurahat say shaamei.n raushan ho.n aik pal,
Mei’n uchhal paray aik seel-e-anjum udaas raato.n ke teergi mei.n,


Woh kaun hai jis kay ek tasavvur say gungunaati hai.n meri raatei.n,
Woh kis ke yaado.n ki loriyo.n say mujhey sulaati hai.n meri raatei.n,


Woh kaun hai jis ko sonchta hu.n,
Woh kaun hai, yeh batao mujh ko.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 411