donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Her aik khuwahish-e-zinda.n ko maarna hai hamei.n, *

Her aik khuwahish-e-zinda.n ko maarna hai hamei.n,
Likha gaya hai ke pardees kaatna hai hamei.n,

Galay mei.n tauq-e-judaai bhi ab pehan.na hai,
Saleeb-e-waqt pe rishto.n ko taankna hai hamei.n,

Lipat kay rona hai ab saari umer yaado.n say,
Gali mei.n maazi ke ab dar kay jhaankna hai hamei.n,

Suna hai hijar ke raatei.n taveel hoti hai.n,
Sitaaray aankh mei.n rakh kar hi jaagna hai hamei.n,

Jo gham ke aag sulagti hai apnay seenay mei.n,
Isi say sard se raatei.n guzaarna hai hamei.n,


Yeh hijrato.n ka safar bamuraad kab ho ga,
Yeh sonchna hai hamei.n ab yeh jaan.na hai hamei.n,

Yeh dasht hai yahaa.n imkaan nahi hai dariya ka,
Isi saraab say paani nikaalna hai hamei.n,

Gharhi bahut hi kathin hai yeh zindagi ke Ebad,
Shikasta kashti mei.n toofan ka saamna hai hamei.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405