Pakistan Kahta Hai,
Kia kia meray naseeb kay manzar hai.n in dino.n,
Her rah per azaab kay patthar hai.n in dino.n,
Hum dono woh hai.n jin ka koi ant he nahi,
Sehra hoo.n mai.n to woh bhi samander hai.n in dino.n,
Muddat say dairay daalay hue hai.n bala-e-shab,
Deewar-o-dar say liptay hue darr hai.n in dino.n,
Apna naseeb apnay he haatho.n say noch kar,
Baithay hai.n shaakh-e-yaas pe, bay-par hai.n in dino.n,
Bay-mehar ho gae hai.n hawa ke rifaaqatei.n,
Phoolo.n kay saath saath bhi nishtar hai.n in dono.n,
Kaisay kahoo.n ke in ko Khuda per yaqee.n hai,
Sajday karay jo ghair ko bhi sar hai.n in dino.n,
Niklay thay kab wata.n say hamei.n yaad ab kahaa.n,
Hijrat naseeb log hum, bayghar hai.n in dino.n.