donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai.n naqsh-e-dasht hoo.n mujh ko sambhaalna kaisa, *

Mai.n naqsh-e-dasht hoo.n mujh ko sambhaalna kaisa,
Hawa ke zad pe hoo.n rehta sanwaarna kaisa,

Fana kay baad fana phir fana phir aur fana,
Yeh zindagi hai to phir rang uchhaalna kaisa,

Jafa ka daur hai qatil to apnay saye banay,
Adu nay seenay mei.n khanjar utaarna kaisa,

Yeh mehar-o-meh ke tamanna koi saraab nahi,
Safar mei.n thak kay garebaa.n ko phaarna kaisa,

Mai.n roshni mei.n tumhari naha kay kiya loo.n ga,
Jo sona ho chuka kundan, ojaalna kaisa,

Yeh shehar-e-sang hai aur kaanch ka makaan mera,
To phir kisi ko madad ko pukaarna kaisa.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378