donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koocha-o-bazaar mei.n tanha he sab phirtay rahay, *

Koocha-o-bazaar mei.n tanha he sab phirtay rahay,
Jism-o-jaan khoe rahay aur peerhan miltay rahay,

Aashiyaa.n bhi rafta rafta maqbaro.n mei.n dhal gaye,
Baam-o-dar ke khaamshi say saye bhi dartay rahay,

Badnaseebi, is tarha khaati hai hariyaali kay khait,
Jis tarha barish ko pee kar dasht yeh jaltay rahay,

Kar saki tabdeel kab koi qayamat bhi mizaaj,
Zindagi kay kaam to her haal mei.n chaltay rahay,

Kaun thay aur kis jagah kay log thay jo keh hamesh,
Zakham khaatay khaatay bhi dil say dua daitay rahay,

Koi to rakhay ga marham, dhoondiye ja kar Ebad,
Aanay wala hai Maseeha kab say yeh suntay rahay.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396