donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo apni daar say bichray hai.n kuchh zikr karo on yaaro.n ka, *

Jo apni daar say bichray hai.n kuchh zikr karo on yaaro.n ka,
un bhooli basri yaado.n ka, un galiyo.n aur deewaro.n ka,

Kiya ab bhi rait kay teelo.n pe hai.n roshan deep mohabbat kay,
Kiya ab bhi us ja rukta hai koi qaafla ishq kay maaro.n ka,

Kiya ab bhi raat kay aangan mei.n waa.n chandni khailnay aati hai,
Kiya ab mela lagta hai waa.n bichray chand sitaaro.n ka,

Kiya ab bhi khushboo phoolo.n ke us dhoop mei.n nasha bharti hai,
Kiya ab bhi jaam chhalakta hai un khiltay hue gulzaaro.n ka,

Aay dais say aanay walay teray chehray pe sab kuchh likha hai,
Kiya haal chhupaye chhupta hai hans dainay say dukhiyaaro’n ka,

Haa.n ab bhi raaj singhaasan per hai qabza zalim logo.n ka,
Haa.n ab bhi sikka chalta hai on zulmat kay sardaaro.n ka,

Haa.n ab bhi qismat hijrat hai us dais mei.n qaum parasto.n ke,
Haa.n ab bhi dhaya jaata hai ghar dais kay he meemaro.n ka,

Hum roshniyo.n kay pekar hai.n hamei.n chhoro taiz hawaao.n mei.n,
Hum jal jaee.n to tootay ga pindaar inhi andhiyaaro.n ka.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 512