donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi haseen ka partao ye iski zaat may hai, *

Kisi haseen ka partao ye iski zaat may hai,
wagarna husn kaha.n itna kayinaat may hai,

Hua hai kiski ye khushboo say mushqbar jahaa.n,
ye kon phool hai kiskay kamal-e-zaat may hai,

Ye kaafila jo ke hai silsila mohobat ka,
inaan iski ye kiskay noorani haat may hai,

Mai.n naam konsa khushboo kay phair ka rakhu.n,
shogufa khilta naiya jiski baat-baat may hai,

Ajeeb dhaur hai haar chaand ki musafat ka,
ujalaa barta nasha jiski raat-raat may hai,

Bahaar kardin zameen-e-khaza.n ki maari huee.n,
ye in ka ashq-e-dua bhi to mojezaat may hai,

Mohabato.n ki na genti na ashiqo.n ka shumar,
haar aik shaqs yaha dil ki wardaad may hai,

Kisi kay hisay may aya hai shehr-e-hijraa.n bhi,
jo khush-naseeb hai wo kuu-e-iltafaat may hai,

Zahe naseeb ke hum uskay ruub-e-ruuh baitei.n,
ye la zawal sa lamha to khwaishaat may hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 418