donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na saleeqa hai na izhaar ke taqat mujh mei.n, *

Na saleeqa hai na izhaar ke taqat mujh mei.n,
Bas kisi naam ke likhi hai ibarat mujh mei.n,

Choom laita hoo.n jahaa.n paoo.n bhi woh rakhta hai,
Aur koi bhi nahi yara karamat mujh mei.n,


Meherbaa.n ho ya kabhi ho woh khafa he mujh say,
Rehti her haal mei.n hai us ke ata.at mujh mei.n,

Kar kay band aankhei.n mai.n kar laita hoo.n baatei.n khud say,
Aaina daikhnay ke bhi nahi taqat mujh mei.n,

Siskiyaa.n sunta hoo.n din raat mai.n apnay ander,
Kaun karta hai yeh ro ro kay ibadat mujh mei.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412