donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jalti aankho.n may kohi khwaab basaoo.n kaisay, *

Jalti aankho.n may kohi khwaab basaoo.n kaisay,
ye asaasa hai.n inhei.n raakh banaoo.n kaisay,

Rang-e-duniya bhi hai aur khwahish-e-fardos bhi hai,
sochna ye hai kay damaa.n ko bachaoo.n kaisay,

Asmaano ki taraf phir say mei.n urnaa chahoo.n,
paao.n zanjeer say lekin mei.n churahoon kaisay,

Waqt zaleem hai kabhi lauth kay ata hee nahi,
aab mei.n beetay huey lamhaat ko laoo.n kaisay,

Bahr-e-washaat say meri naao uchaley koi,
khud ko girdaab say akhir mei.n bachaoo.n kaisay.

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 384