donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi to hans ke mila kare.n bhi deewaro dar yeh bujhe bujhe se, *

Kabhi to hans ke mila kare.n bhi deewaro dar yeh bujhe bujhe se,

Kabhi to suraj se seekh le.n bhi yeh sard jazbe Thare Thare se,

Sakoote shab pe khayal rakh ke , mai.n karta rahta hoo.n khud kalami,

Shabo.n mei.n kab yeh zaya bhare.nge,yeh chaand chehre chhupe chhupe se,

Hijar ka dukh yeh na maar dale,kisi gharibul watan ko yaaro,

Chalaye rakhta hoo.n is liye mai.n mohabbato.n key eh silsile se,

Gulab mausam rahe.nge kab tak khizaa.n ki dasTarase hawas mei.n,

Hamare qalbo nazar mei.n bhi To gulab mahke’n khule khule se,

Sunayee deti hai.n mujhko cheekhe.n, dekhayee deti qayamate.n yeh,

Hai.n aane wale dino.n ke manzae,bujhe bujhe se jale jale se,

Zawaal lamho.n ke dasto baazu,baja ke daf yeh sun rahe hai.n,

Ujarhne wale hai’n baamo dar yeh, sitam garo’n ke saje saje se,

Lakiire.n khai.nchti hi ja rahi hai.n, yeh nafrato.n ki gali gali mei.n,

Hue Khoda ke hai.n naam lewa, baTe baTe se kaTe kaTe se,

Ebad kab se bula raha ke lagale marham, dukhi zamana,

Magar yeh zakhmi ana ka maara,guzarta rahta pare pare se.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 437