donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aay watan teri mohabbat mera juzv eemaa.n, *

Aay watan teri mohabbat mera juzv eemaa.n,
Dil kay aayene mei.n rehta hai tera aks ayaa.n,

Duur reh kar bhi tu rehta hai khayaalo.n pe sawaar,
Aankh roti hai tera naam jo laiti hai zabaa.n,

Teri izzat, teri shohrat, teri khushiyaa.n hai.n aziz,
Teray parcham kay hasee.n chand peh jaoo.n qurbaa.n,

Meri pehchan meri aan meri shaan hai tu,
meray ash.aar mei.n pinhaa.n hai.n tera zikr-o-biyaa.n,

Teri rag rag mei.n shaheedo.n ka lahu daurhta hai,
un ke khushboo teri is khaak mei.n hai ab bhi ravaa.n,

Apnay haatho.n say jaree.n is ke na kaato logo,
Muddato.n ashk bahaye to hue fasl javaa.n,


Aao sab mil kay dua kartay hai.n Malik kay hazoor,
Ta-qayamat rahay duniya mei.n tera naam-o-nishaa.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 385