donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dariya charhay to kashti ko kab badbaa.n milay, *

Dariya charhay to kashti ko kab badbaa.n milay,
Mausam badal gaye to kai meharbaa.n milay,

Tanha uthani parhti hai ab dard ke saleeb,
Is daur mei.n kisi ko Maseeha kahaa.n milay,

Darta hai ab to aadmi apnay hi saye say,
Suraj say dost pusht kay ander nehaa.n milay,

Gardish ke dhoop chaat gaye husn zaat ka,
Mehloon mei.n basnay walay bhi bay-khanmaan milay,

Daitay hai.n woh to dars-e-shakibaaye aaj bhi,
Dast-e-hunar say jin ke hamei.n kisht-e-jaa.n milay.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386