donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Day gaya kaun ye phir zakham-e-shanasai mujhey, *

Day gaya kaun ye phir zakham-e-shanasai mujhey,
Dasht-e-ghurbat mei.n bhi chooray ge na rusvaai mujhey,


Ajnabi miltay hai.n raaho.n mei.n bicharh jaatay hai.n,
Qaaflay dard kay day jaatay hai.n tanhai mujhey,

Umar bhar jaagti hai.n aankhei.n sitaaray gintay,
Karni parhti hai siyaah raato.n ke sehraai mujhey,

seel-e-toofa.n kay bhanwar say abhi niklay bhi na thay,
Kahei.n lay doobay na phir dil ke ye dariyaae mujhey,

Garam mausam mei.n rakhei.n aag kay dil per phahay,
Phoonk daalay na kahei.n aaisi Maseehai mujhey.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421