donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Jaleel Ebad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri dastaras mei.n na thy hawa jo bikhar gaya to malaal kiya, *

Meri dastaras mei.n na thy hawa jo bikhar gaya to malaal kiya,
Yeh jo phool jharhnay ho.n pair kay to karay woh naaz-o-jamaal kiya,

Janay kab say gathri musafrat ke utha kay hoon mai.n chala hua,
Mujhey hoosh kab tha keh janta yeh guzar gaye mah-o-saal kiya,

Rang-e-jaa.n say khoon ko nichorh kar aay shoreeda sar tujhey kiya mila,
Na chaman khila na Khuda mila to riyaazato.n ka kamaal kiya,


Tu nay zaviya hi badal diya meri sonch ka dil-e-baymehar,
Ab ghaur karna hai wasl kiya ab sonchna hai wisaal kiya,

Nahi shauq zakham numaai ka yeh safar hai aabla payi ka,
Kisay kiya bataao.n keh yeh jahaa.n bana karbala hua haal kiya,

Mai’n to khud hu.n apni talaash mei.n mujhey shohrato.n ki talab nahi,
Mujhey kiya khabar ke arooj kiya mujhey kiya pata ke zawaal kiya,

Kunj-e-aasma.n mei.n chhupa liya kia tang zamei.n nay jab mujhey,
Dekhei.n ab kay waqt ke taigh phir chalti hai apni yeh chaal kia.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403