donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Muqeet Aezazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naarazgi dikhata raha aaina mujhe *

Naarazgi dikhata raha aaina mujhe

chehra na jaa ne kis ka dikhaata raha mujhe


Chehre pe daDhi, sar pe mire topi dekh kar
ghaddar qaum jaisa laqab hi mila mujhe


Jaane laga hun in dinon masjid main baar baar 
“Duniya samjh rahi hai baDa paarsa mujhe”


Rahbar bahut mile mujhe aur rehbari bhi ki
manzil ka aaj tak na mila kuch pata mujhe


Main chaahta raha tumhen har waqt toot kat
shaayad ke hashr main hi milega sila mujhe


Pehchaan shaairi se hi ‘Aezazi’ hai mili
Duniya main warna koi nahin jaanta mujhe

 

****************************************** 

 

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 456