donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Qavi Zeya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Be noor si aa.nkhe.n hai.n to khamosh zabaz.n hai *

Be noor si aa.nkhe.n hai.n to khamosh zabaz.n hai
Yeh kaif bahaara.n to nahi.n khauf khazaa.n hai

Ab chaand pe pahunche hai.n qadam ahle zamee.n ke
Ab chasnd bhi gum gashta si azmat ka nisha.n hai

Sunsaan si galiya.n hai.n to chup chaap si raahe.n
Aise hi kisi shahar me.n apna bhi makaa.n hai

Be barg se ashjar hai.n be rang shagoofe
Is sehne chaman par to beyaba.n ka guma.n hai

Jo bhi hai imaarat woh dhansi jayee zamee.n me.n
Yeh shahar tarb to nahi.n ik andha kua.n hai

Jab bhi tujhe parkha hai to yeh jaanaa hai hamne
Ik daur talak silsila-e-wahmo gumaa.n hai


961, Auger Avenue, Sudbury
Onario P3A 4A7, (Canada)

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342