kyu.n KHafa tu hai kya kaha mai.n ne
mar kaha tu ne marhaba mai.n ne
kyun surahi-e-mai ko de paTka
tu ne toDa ya bewafa mai.n ne
na-tawani mei.n ye tawanai
dil ko tujh se uTha diya mai.n ne
de ke ye tujh ko ye liya ki diya
gauhar-e-be-baha liya mai.n ne
kyun KHum-e-mai ko mohtasib toDa
kya kiya mai.n ne kya kiya mai.n ne
kyun na ruk ruk ke aae dam mera
tujh ko dekha ruka ruka mai.n ne
gul hazaro.n mei.n shama-e-aish 'ehsan'
jaise us gul ko dil diya mai.n ne
++++++++++++++++