donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* marte dam nam tera lab ke jo aa jae qarib *

marte dam nam tera lab ke jo aa jae qarib
ji ko ThanDak ho tap-e-gham na mere aae qarib
bosa mangu.n to kahe.n mujh se ye bulwa ke qarib
kis ka munh hai jo mere munh ke wo munh lae qarib
hath dauDau.n na kyu.n jabki wo yu.n aae qarib
panw phailau.n na kyu.n panw jo phailae qarib
pas aau.n to kahe pas-e-adab bhi hai zarur
dur jau.n to waha.n jae taqaza-e-qarib
mujh ko ai pir-e-mugh.an mohtasib-e-na-hanjar
qurb-e-mahshar hai ki be-qurbi se bulwae qarib
gham-e-duri se tere kuche ke roya aashiq
wan se jab rauza-e-rizwan use lae qarib
meri bedari se ai daulat-e-bedar ho kya
baKHt jage.n jo mujhe apne to bulwae qarib
mere nalo.n se na din chain na shab ko hai qarar
marg ke pahunche hai.n ab to mere ham-sae qarib
aisi majlis se agar rahiye baid aula hai
dil dimagh apna to wo aur ye ghaugha-e-qarib
pas jau.n to machal kar kahe chal ya.n se dur
dur baiThu.n to ghuDak kar mujhe farmae qarib
ishq ke pech mei.n hu.n chahiye hamdam pas-e-marg
ishq-e-pechan hi meri qabr ke lagwae qarib
mushk-o-sandal ho tere rang se baalo.n ham-sar
ghussa dil ko mere kis tarah na aa jae qarib
kuchh radif ab ki baDha qafiya 'ehsan' tu badal
phir qarib aise biTha tujh ko wo biThlae qarib

++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 126