donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* miya.n kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha *

miya.n kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha
kyu.n meri taraf dekh ke talwar ko dekha
aankhe.n meri phuTe.n teri aaankh.on ke baghair aah
gar mai.n ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha
dekhe na mere ashk-e-musalsal kabhi tum ne
apni hi sada motiyo.n ke haar ko dekha
itwar ko aana tera malum ki ek umr
be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha
dekha na kabhu kucha-e-dildar ko rangin
bas hum ne bhi is dida-e-KHun-bar ko dekha
us mei.n bhi dar-andazo.n ne sau raKHne nikale
'ehsan' ne jo us raKHna-e-diwar ko dekha

++++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 124