donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nahi.n sunta nahi.n aata nahi.n bas mera chalta hai *

nahi.n sunta nahi.n aata nahi.n bas mera chalta hai
nikal ai jaa.n tu hi wo nahi.n ghar se nikalta hai
jala hu.n aatish-e-furqat se mai.n ai shoala-ru ya.n tak
charagh-e-KHana mujh ko dekh kar har sham jalta hai
nahi.n ye ashk-o-laKHt-e-dil teri ulfat ki daulat se
mera ye dida har dam lal aur gauhar ugalta hai
kisi ka sath sona yaad aata hai to rota hu.n
mere ashko.n ki shiddat se sada gul-takiya galta hai
milata hu.n agar aankhe.n to wo dil ko churaata hai
jo mai.n dil ko talab karta hu.n wo aankhe.n badalta hai
mere pahlu-o-sina mei.n buto.n ke rah gae KHanjar
KHuda ka fazl jis par ho to wo is tarah bahalta hai
sada hi meri qismat jun sada-e-halqa-e-dar hai
agar mai.n ghar mei.n jata hu.n to wo bahar nikalta hai
wo bahr-e-husn shayad bagh mei.n aawega ai 'ehsa۔n'
ki fawwara KHushi se aaj do do gaz uchhalta hai

++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 126