donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nim-cha jald miya.n hi na miya.n kijiyega *

nim-cha jald miya.n hi na miya.n kijiyega
nim-jaano.n ka abhi kaam rawa.n kijiyega
taqat-e-garmi-e-KHurshid-e-qayamat hai kise
tab ki dagh-e-jigar se na fugha.n kijiyega
dil mei.n tum ho na jalao mere dil ko dekho
mera nuqsan nahi.n apna ziya.n kijiyega
kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar
qasd-e-aKHz-e-dil-e-aghyar na ha.n kijiyega
dil se dil pas hai.n to bhi hai dilo.n ki KHwahish
kya dilo.n ki kahi.n dilli mei.n dukan kijiyega
aur bhi soz-e-jigar bazm mei.n hoga raushan
shama san qata agar meri zaba.n kijiyega
yar jab sath safar mei.n ho kaha.n ki rozi
roz rozo.n hi mei.n id-e-ramza.n kijiyega
kis se yarab kahu.n ahwal ye kahta hai wo but
apni ya.n ram-kahani na baya.n kijiyega
wo dhua.n-dhaar si zulfe.n hai.n nazar mei.n har shab
wird ab sura-e-wallail-o-duKHan kijiyega
shahr-e-dil ki tumhei.n aabaadi ka kuchh bhi hai KHayal
ya jaha.n rahiyega viran hi waha.n kijiyega
meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye
sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaa.n kijiyega
pani pi pi ke tumhei.n dewenge dushnam ye rind
tum subuk hoge agar baada gira.n kijiyega
jald 'ehsan' se kaho wo but-e-KHud-kaam aaya
ab to lillah kahi.n band zaba.n kijiyega

++++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 129