phir aaya jam-ba-kaf gul-ezar ai waiz
shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai waiz
na jaan mujh ko tu muKHtar saKHt hu.n majbur
nahi.n hai dil pe mera iKHtiyar ai waiz
anar-e-KHuld ko tu rakh ke hai.n pasand hamei.n
kuche.n wo yar ki rashk-e-anar ai waiz
usi ki kakul pur-pech ki qasam hai mujhe
ki tere waz hai.n sab pechdar ai waiz
hamare dard ko kya jaane tu ki tujh ko hai
na dard-e-yar na dard-e-dayar ai waiz
kiya jo zikr-e-qayamat ye kya qayamat ki
ki yaad aaya mujhe qad-e-yar ai waiz
bhulaega na kabhi yaad-e-gul-ruKHa.n 'ehsan'
koi wo samjhe hai samjha hazar ai waiz
+++++++++++