donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* puchhi na KHabar kabhi hamari *

puchhi na KHabar kabhi hamari
li KHub KHabar aji hamari
hum laeq-e-bandagi nahi.n to
bas KHair hai bandagi hamari
ai dida-e-nam na tham tu hargiz
hai is mei.n hi behtari hamari
yan teri kamar hi jab na dekhe.n
phir hech hai zindagi hamari
hum jaan chuke ki jaan ke sath
jawegi ye jaankani hamari
chalne ka liya jo nam tu ne
bas jaan abhi chali hamari
bigDe ho bhale bhi baat kahte
qismat hi buri bani hamari
us zulf ke silsile mei.n hai.n hum
hai umr bahut baDi hamari
kyunkar na kaTi zaba.n tumhaari
han aur karo badi hamari
kahte hai.n palaT gaya wo rah se
taqdir ulaT gai hamari
ab hanste hai.n hum pe log warna
mashhur thi ya.n hansi hamari
hum haTte hai.n mulk-e-ishq se kab
heTi kisi ne kahi hamari
kya kaam kisi se hum ko 'ehsan'
hum aur ye be-kasi hamari

++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 123