donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sun rakh o KHak mei.n aashiq ko milane wale *

sun rakh o KHak mei.n aashiq ko milane wale
arsh-e-azam ke ye nale hai.n bulane wale
ye sada sunte hai.n us kuche ke jaane wale
jaan kar jaan na kho kaun hai aane wale
chain tujh ko bhi na ho mujh ko satane wale
tu bhi ThanDa na rahe ji ke jalane wale
kab hai.n is dil se buta.n hath uThane wale
ye wo kafir hai.n ki masjid ke hai.n Dhane wale
jang hi gar tujhe manzur hai phir aankh laDa
ye bhi ek jang hai o aankh laDane wale
ki to ayyar si sazish hai wale ghuncha-dahan
chuTkiyon mei.n hai.n ye joban ke uDane wale
un ke hansne pe na ja un ke hansane se na hans
tere hansne pe jo hanste hai.n hansane wale
bin-bulae tere aa kar tujhe bahkate hain
saKHt na-KHwanda hai.n ye tujh ko paDhane wale
ashk-e-KHuni.n ki hu.n mai.n sail mein Duba rahta
ye mera rang hai o pan chabane wale
yu.n gajar subh ka jaldi se baje wasl ki raat
are be-rahm are dil ke satane wale
guzri jo mujh pe so guzri hai na guzri tujh par
ghaDi ghaDiyal ki ghaDiyal bajaane wale
kyu.n na un nalo.n ko mai.n pa-e-ba-zanjir rakhkhu.n
ai junu.n kaun hai.n ye ghul ke machane wale
jab kaha mai.n ne ki sun haal kaha tan se ye
tum salamat raho ahwal sunane wale
panw ko hath lagaya tu laga kahne sarak
tujh ko qurban karu.n hath lagane wale
muttala matla-e-'ehsan' se tu ho rashk-e-qamar
tujh pe aashiq hue paigham ke lane wale

+++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 149