donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* gham ya.n to bika hua khaDa hai *

gham ya.n to bika hua khaDa hai
fidwi hai fida hua khaDa hai
hilta nahi.n tere dar se ye ishq
muddat se mila hua khaDa hai
KHuni.n-kafan-e-shahid-e-ulfat
dulha sa bana hua khaDa hai
Tuk gosha-e-chashm idhar bhi koi
kone se laga hua khaDa hai
daman ka hai gher gird-e-jaana.n
kyu.n ji wo ghira hua khaDa hai
yun dil ko baghal mei.n mai.n ne pala
ye mujh pe pila hua khaDa hai
kya samjhe namaz-e-ishq naseh
qible se bhara hua khaDa hai
mujre ko tumhaare abruo.n ke
mehrab jhuka hua khaDa hai
mizan nahi.n milti meri us ki
ghussa mei.n pila hua khaDa hai
ghar se to nikal ki dar pe 'ehsan'
kya gham mei.n ghira hua khaDa hai
palko.n se giri hai ashk Tap Tap
paT se wo laga hua khaDa hai

++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 135