donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Abdul Rahman Ehsan Dehlavi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* har aan jalwa nai aan se hai aane ka *

har aan jalwa nai aan se hai aane ka
chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka
qasam qadam ki tere jab talak hai dam mei.n dam
mai.n panw par se tere sar nahi.n uThane ka
hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim
tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka
qasam KHuda ki mai.n kuchh kha ke so rahunga sanam
jo sath apne nahi.n mujh ko tu sulane ka
nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam
hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka
bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab
yahi hai rang agar tere pan khane ka
hamari chhati pe phirta hai sanp ya.n 'ehsan'
waha.n hai shaghl use zulf ke banane ka

++++++++++++++++++

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 131