jaan apni chali jae he jae se kasu ki
aur jaan mei.n jaan aae hai aae se kasu ki
wo aag lagi pan chabae se kasu ki
ab tak nahi.n bujhti hai bujhae se kasu ki
bujhne de zara aatish-e-dil aur na bhaDka
mehndi na laga yar lagae se kasu ki
kya soiye phir ghul hai dar-e-yar pe shayad
chaunka hai wo zanjir hilae se kasu ki
kah do na uThae wo mujhe pas se apni
ji baiTha hi jata hai uThae se kasu ki
jab mai.n ne kaha aaiye man jaiye bole
hum aur bhi ruThenge manae se kasu ki
chuppi mei.n jo kuchh baat ki mai.n ne to ye bole
hum to nahi.n dabne ke dabae se kasu ki
yaro na charagh aur na mai.n shama hu.n lekin
har sham ko jalta hu.n jalae se kasu ki
pata nahi.n ghar us ka samajhta hi nahi.n hai
is bait ke mani bhi batae se kasu ki
jab us se kaha meri sifarish mei.n kasu ne
hasil bhi rulae se kuDhae se kasu ki
ek tan se ye hans ke laga kahne ki be-shak
hum rolte moti ha.in rulae se kasu ki
kahta hai ki 'ehsan' na kahega to sunega
matla ye kaha mai.n ne kahae se kasu ki
++++++++++++